laut kar jab na ghar gai hogi ek qayamat guzar gai hogi raat pur-haul bhediyon ka ghol wo akeli thi dar gai hogi koi aadam na koi aadam-zad dur tak jab nazar gai hogi ghair ka hath jab badha hoga jite-ji wo to mar gai hogi apne tan ko jala ke ghairat se zakhm sab dil ke bhar gai hogi bint-e-hawwa jo mangti hai kafan sar se chadar utar gai hogi ai khuda un sulagte honton ki kya dua be-asar gai hogi