ye tum ne kya kaha tha is nile aakash ko badh ke chhuna hai har lamha aage badhte rahna hai lekin ai kash aisa hota tum mujh se bichhad na pate main rah ki har ek dushwari ko hanste hanste sah leti dard ka jangal raste mein gar aa jata na main darti na ghabraati aakash ko badh ke chhu leti chand sitare tod ke main le aati lekin ab raste pe khadi hun main tanha aur soch rahi hun jo tum ne kaha tha mujh se jo wada liya tha mujh se himmat jurat lafzon ki hurmat pe qaem rah kar apne qalam ki sachchai ko sath hamesha rakh kar aage badhte rahna aakash ko badh ke chhu lena ye wada pura karna hai aur aage badhte rahna hai