mujhe likhna tha sarshaari mujhe likhna tha dildari mujhe likhna tha apna half-nama aur bayan-e-istighasa baadshah-e-waqt ke maghrur aiwan-e-adalat mein umadti khalq ki maujudgi mein wardat-e-qatl-e-khuban ke haqaeq aur bayan-e-khalq-e-barham main qasid tha ghulamon ka farastada mere hone mein muzmar thi kharabi jumla imkanat-e-mohlik ek bhari banduq main shair tha mujhe elan karna tha mere elan par honi thi saf-bandi hisab-e-khun-baha bebak hona tha rabab-e-zindagi par aarzu ka alamiya gana alal-ailan chaurahon pe be-khud hona gana raqs karna aur mar jaana mera mansab muqarrar tha