la-intiha jahan-e-mujassam se bhi siwa la-muntaha zamanon mein rahte hue ye abad qarnon se rengti hui taqwim-e-kaenat aab-o-gil-o-shuur sar-e-do-jahan adam la-falsafa nihayat-e-fahm-e-payambari zauq-e-numu ki hath mein rekhaen dam-ba-dam kya jaaniye ki kitne baras ka hai ye charagh tahzib-e-sokhta hai ayagh-e-huruf mein fikr o khirad ki bahr o talatum mein kashtiyan ubhrin kahin to rizq-e-samundar kahin huin is ehtimam-e-khwab-e-tahayyur mein main nazhad tanha khada hun apni numaish ke waste main bhid ke nawah mein madum aadmi