biTTu baatuni

bolti hai kya tar-tar baatuni bittu
chup nahin rahti lahza bhar baatuni bittu

ruk nahin sakti ek hi sans mein bolti jae
ulta sidha be-matlab jo munh mein aae

bhai kahen main padhta hun mat dhyan batao
baji bolin bhago mere kan na khao

bole koi kisi se to ye bich mein tapke
baat kare to uchke matke aankhen jhapke

jab dekho tab lara lara ri ri ri ri
jab dekho tab haha haha hi hi hi hi

ammi ammi wo jo hain nan aunty serwer
aaj pahan kar aain thi ek nila jampar

han nila sa kuchh uda kuchh nila nila
lagta tha kuchh un ke upar dhila dhila

ladne lagi phir mujh se wo bilqis ki bachchi
is dibiya ka dhakna to hai bilkul pachchi

mahr ne li bilqis ki chutki hu hu hu hu
aini ki gul se nahin banti hu hu hu hu

iffat aur main jhula jhulte bari bari
khala bi ki choti hai kya lambi si

bano ke ghar aai hai bolti mina baji
hota hai ek tang ka murgha hai na baji

karti hain kyon sham ko chidiyan chen chen chen chen
abbu aap zara fazlu ke kan to khinchen

wo dekho phir aan ke baitha chhat par kawwa
bawa aadam ki thin biwi mama hawwa

dur se aata dekhen to ghabrain padosan
log kahen lo wo aa dhamkin bi-bakwasan

bittu bi bi sun to lo sab hanste hain tum par
dekho thodi der zara khamosh bhi rah kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close