shadi ke baad ghar mein jab aati hain biwiyan sharm-o-haya ka dhong rachati hain biwiyan pahle to shauharon ko patati hain biwiyan tiguni ka nach phir ye nachati hain biwiyan har shab shab-baraat banati hain biwiyan kuchh din ke baad chhakke chhudati hain biwiyan pahle-pahal to kahti hain tum ho mere balam tum mil gae to ho gae duniya ke dur gham tum par hazar jaan se qurban main sanam kuchh din ke baad kahti hain shauhar ko phir khasm pahle to khub sar pe chadati hain biwiyan qadmon mein is ke baad giraati hain biwiyan kha kha ke gosht weight na apna badhaiye jo main bana rahi hun wo chup-chap khaiye is waqt ghar mein aaiye us waqt jaiye jaana kahan hai jaane se pahle bataiye is tarah control mein lati hain biwiyan hakim ko bhi ghulam banati hain biwiyan wo santari ho koi ki ho koi mantari hota hai hawi sab pe hi ehsas-e-kamtari kaisa bhi sher-dil ho bahadur ho ya jari rahti hai jin ke khauf se duniya dari dari aise bahaduron ko dabaati hain biwiyan phir ungliyon pe un ko nachati hain biwiyan bachchon ki baat chhodiye begam ka hai ye haal ghusse mein yun samajhiye ki har shai pe hai zawal samjhae kaun aise mein kis ki hai ye majal is shor-o-ghul mein shaeri karna bhi hai muhaal qainchi-sifat zaban chalati hain biwiyan tar-tar se phir dimagh dukhati hain biwiyan sasural mein ho shadi to kharcha ho kam janab maike mein hai to kharch ye karti hain be-hisab wo sas ya sasur hon ki dewar ho sab kharab aaya hua hai maike se kutta bhi la-jawab kuchh is tarah dimagh pe chhati hain biwiyan shauhar ke rishte-dar chhudati hain biwiyan