jhuki jhuki nazron se pustakon ko sine se lagae dhak dhak karte dil ko sambhaale kahin aankhen chaar na ho jaen lab mein chor-nazar se ghuste ki aaj to darshan ho jaen par mad-hoshi ka aalam to dekhen ki nazren milin to shayad behosh ho jaen email par khule aam khat ki baat nahin ye wo kachre mein phenka kaghaz bhi kai tahon mein laga kar sine mein chhupaen koi jaan na le hamari is khamosh mohabbat ko soch is khayal se hi lal ho jae chhup-chhup kar rashi-phal padhte ki shayad aaj mulaqat ho jae honton ko siye chup-chap ghumte ki bhul se tera nam bhi labon par na aa jae aisi thin wo mohabbaten jahan bana dekhe kai sadiyan guzar jaen