jab se be-nur hui hain shamen khak mein dhundhta phirta hun na jaane kis ja kho gai hain meri donon aankhen tum jo waqif ho batao koi pahchan meri is tarah hai ki har ek rag mein utar aaya hai mauj-dar-mauj kisi zahr ka qatil dariya tera arman, teri yaad liye jaan meri jaane kis mauj mein ghaltan hai kahan dil mera ek pal thahro ki us par kisi duniya se barq aae meri jaanib yad-e-baiza le kar aur meri aankhon ke gum-gashta guhar jam-e-zulmat se siyah-mast nai aankhon ke shab-tab guhar lauta de ek pal thahro ki dariya ka kahin pat lage aur naya dil mera zahr mein dhul ke, fana ho ke kisi ghat lage phir pae-nazr nae dida o dil le ke chalun husn ki madh karun shauq ka mazmun likkhun blackout