ku-e-sitam ki khamushi aabaad kuchh to ho kuchh to kaho sitam-kasho, fariyaad kuchh to ho bedad-gar se shikwa-e-bedad kuchh to ho bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho marne chale to satwat-e-qatil ka khauf kya itna to ho ki bandhne pae na dast o pa maqtal mein kuchh to rang jame jashn-e-raqs ka rangin lahu se panja-e-sayyaad kuchh to ho khun par gawah daman-e-jallad kuchh to ho jab khun-baha talab karen buniyaad kuchh to ho gar tan nahin zaban sahi aazad kuchh to ho dushnam nala hao-hu fariyaad kuchh to ho chikhe hai dard ai dil-e-barbaad kuchh to ho bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho bolo ki roz-e-adl ki buniyaad kuchh to ho