bojh By Nazm << dastak bewa ki eid >> main bikhre hue suraj ki do qashen sagar mein dubo kar aaya hun ab laut raha hun apni taraf andhe sagar se rah munawwar hoti hai taaqub mein koi phir meri taraf dauda hua badhne laga main lamha lamha kandhon par phir bojh sa mahsus karta hun Share on: