dastak

phul qurbat se pahle
main

faqat khushbuon ke badan
chumta tha

lams lams
tu

mujh mein zam
ho raha tha

phul
qurbat ke baad

main
badan ke kharzaron ko bhi

tatolne laga hun
kuchh kuchh

jab
raston par naqsh-e-pa

sab dhundle pad jate hain
tab

be-dar-o-diwar qafas mein
tilmila uthta hun main

apne bistar par badal kar
karwaton par karwaten

sochta hun
kisi karwat nind si

aa jaegi
dafatan

palang ki karkarahat
chaunka deti hai mujhe

lagta hai
sargoshi mein koi

tera nam sa leta hai
phir

ajnabi ehsas se
khun sa

ubalta hai badan mein
aur

surkhiyan
simat aati hain

shikan-dar-shikan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close