bolo kaun bahadur hai bolo kaun bahadur hai sheron ko jo mar girae bade badon se jo takrae ya wo jo har ek aalam mein ghussa aae to pi jae bolo kaun bahadur hai bolo kaun bahadur hai nafs ka apne wo hakim ho ya nafs us ka hi hakim ho itraata ho apni khata par ya wo khataon par nadim ho bolo kaun bahadur hai bolo kaun bahadur hai girton ko jo thokar mare ya jo girton ko bhi sambhaale zulm pe jo khamosh rahe ya zulm se mazlumon ko bacha le bolo kaun bahadur hai bolo kaun bahadur hai taqat par jo ho maghrur ya akhlaq ho jis ka nur sach kahna sach sunna jaane ya in sab se ho wo dur bolo kaun bahadur hai bolo kaun bahadur hai sachchai ki rah chale jo ya jo har pal khud ko badle thokar se bhi sabaq na le jo ya jo gir jae to sambhle bolo kaun bahadur hai bolo kaun bahadur hai