main hun 'majaz' aaj bhi zamzama-e-sanj-o-naghma-khwan shair-e-mahfil-e-wafa mutrib-e-bazm-e-dil-baran aaj bhi khar-zar-e-gham khuld-e-barin mere liye aaj bhi rah-guzar-e-ishq mere liye hai kahkashan aaj bhi ga raha hun main saz-e-junun liye hue soz-e-nihan se aaj bhi ruh-e-tapan hai dil-tapan aaj bhi zindagi meri gharq-e-sharab-e-tund-o-tez aaj bhi hath mein mere jam-e-sharab-e-arghawan aaj bhi hai rachi hui aaj bhi hai basi hui mere nafas mein khuld ki nuzhat-o-nikhat-e-jawan aaj bhi nukta-chin hun main khalwatiyan-e-khas ka khalwatiyan-e-khas ka aaj bhi hun mizaj-dan aaj bhi ashk-e-khun mera qashqa jabin-e-naz ka aaj bhi khak-e-dil meri surma-e-chashm-e-gul-rukhan aaj bhi dil ko hai mere daulat-e-agahi nasib aaj bhi hai nazar meri arz-o-saman ki raaz-dan aaj bhi hai junun mera dair-o-haram pe khanda-zan aaj bhi mujh se bad-hawas dair-o-haram ke pasban aaj bhi saz se mere garmi-e-bazm-e-sar-kashi aaj bhi aatish-e-sukhan shoala-fishan sharar-fishan aaj bhi hai likhi hui surkh huruf mein 'majaz' daftar-e-shahr-e-yar mein mere junun ki dastan