pipe ke gahre lambe kash khinchta wo apni barahnagi ke ehsas ko dhuwen ki shakl mein khala mein tahlil hote dekh kar muskurane ki koshish karta tha us ki naf ke aas-pas chipke hue shikasta andhere ke chhote chhote tukde meindak ki aaankhon mein mare hue khwabon ki silan mein dub rahe the wo mujh ko gautam ke nam se yaad kiya jae aisa diwaron par rengti chiyuntiyon se bar bar kah raha tha