aao bachcho git sunaen git sunaen khub hansaen ek budhiya ne chidiya pali nannhi-munni bholi-bhaali budhiya baithi khir pakati chidiya us ko git sunati ek din budhiya bhuki aai jaldi jaldi khir pakai munh dho kar wo khane baithi chidiya git sunane baithi budhiya ne sab kuchh kha dala chidiya ko bhuka hi tala chidiya jab pinjre mein aai bhuk se us ko nind na aai chun-chun chun-chun kar ke roi sari raat usi mein khoi subh hui aur murgha bola budhiya ne jab pinjra khola pyar se jab us ne chumkara chidiya ne chonchon se mara budhiya bhagi ghar mein aai mutthi bhar kar dana lai jab budhiya ne dana khilaya tab chidiya ne git sunaya