sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan ladte hain tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse padte hain ek khate hain to do munh pe wahin jadte hain hashr kar dete hain barpa ye jahan adte hain josh mein aate hain dariya ki rawani ki tarah khun dushman ka baha dete hain pani ki tarah jab badhate hain qadam pichhe phir hatte hi nahin hausle un ke jo badhte hain to ghatte hi nahin dam-e-paikar harifon se ye katte hi nahin ulte qadmon pe bila fath palatte hi nahin hech hain un ke liye aahani diwaren bhi rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi jazba-e-hubb-e-watan dil mein nihan rakhte hain misl-e-khun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain aankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain nikli hi padti hain khud myan se teghen un ki dhundhti apna muqabil hain nigahen un ki khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai dam dafna karne ko ghaarat-gar-e-jaan milti hai khun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai maut ki god mein dushman ko aman milti hai tegh ke ghat utarta hai muqabil un ka ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka war bhule se bhi padta nahin ochha un ka hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka maut bhi manti hai razm mein loha un ka ran mein biphre hue sheron ki tarah ladte hain saf kar dete hain jis saf pe ye ja padte hain munh pe talwar ki chadhte hain sipar ki surat tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat hausle aur badhati hai khatar ki surat maut mein bhi nazar aati hai zafar ki surat chhalni ho jata hai zakhmon se agar tan un ka tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka razm ko bazm samajhte hain ye marda-r-watan shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan ye wo sar-baz hain rakhte hain baham tegh o kafan hath dikhlate hain jab padta hai ghamsan ka ran un ki shamshir-e-do-paikar pe zafar sadqe hai un ka bartaniya ke nam pe sar sadqe hai