ye mere dil ki pagdandi pe chalti nazm hai koi ki sail-e-waqt ki bhatki hui ek lahr sa lamha jo aanchal par sitare aur un aankhon mein aansu tank deta hai sitaron ki chamak aur aansuon ki jhilmilahat mein kisi ehsas-e-gum-gashta se likha bab hai shayad koi sailab hai shayad ya ek be-nam si rasm-e-talluq ka tarasha khwab hai shayad jo aankhon mein utarte hi kabhi chup ki surang aur barf sanson ki ladi mein jhulta hai aur kabhi bahta hai sach ban kar lahu ki har rawani mein nazar se jhankti ek umr jaisi raegani mein magar dil ki tahon mein ek khalish si kasmasati aur kahti hai ye sach kaisa hai ki jalte hue dil ko guman tak bhi jo chhanw ka na de pae ye kaisa sach hai jis ki tham kar ungli koi raston mein kho jae