zainab main teri bandi tu aisi ba-hausla is shan se jalti zamin par chali ki sach ko zarurat na rahi kisi hil hujjat ki tere liye aasmanon se koi moajiza nahin utra ujda hua ghar be-bizaati zmin-o-asman ki sakhtiyan aur teri istaqamat ki is qadar khun-rezi ke baad bhi yazidi fath ka khat na le sake kisi ek fard-e-wahid se nahin to ek pure ghalat nizam ke muqabil thi ye wo maqam tha ki tarikh-danon o mohaqqiqin ne haar jit ke nazriyat ko alag andaz se dekha teri mamta ko salam zainab apne jigar goshon ka gham utha kar khud ko tutne nahin diya aiwanon mein sar jode baithe ahl-e-siyasat kisi natije par nahin pahunch pate ki bachchon ko zabh karne wale insan hain musalman hain zainab masum ali asghar ko zabh karne walon ko tu ne khuda ka ye farman bawar karaya tha allah zalimon ko dost nahin rakhta karbala ek rah-e-hidayat raushni zara si darz kisi jhurri se dakhil ho kar phaile hue andhere par ghaalib aa jati hai aur tariki ko sawere mein badal dene wale rab ko malum hai ki ishq ko baqi rakhne ke liye lahu se aabiyari ki gai lahu bahta hai to zamin zar-khez hoti hai wo taef ho kufa ho ya meri bad-nasib zamin andha hujum hathon mein patthar liye jila ko bujha deta chahta hai jila jo dua-go hai mabud unhen bakhsh de ye nahin jaante ye kya kar rahe hain jila baatil ke hathon mein baiat nahin karti jila masiha hai mujhe maslub karne walo shaqi-ul-qalb hukmarano bhala phutti kirnon ko bhi koi salib de saka jila zainab hai jo jale hue andheron ke baad hone wali ujdi subh se us kathin masafat ko tai karti hai ki bahut si ghutan aur hazar saubaton ke baad ek wo maqam aata hai jo takht ko nishan-e-ibrat bana de