na iztirab-e-ghaznawi na mashrab-e-ayaz hai na khun mein hararaten na soz hai na saz hai na zauq-e-jam-o-mai-kada na but-kade ki aarzu na tauf ku-e-yar ka na hasraten na justuju na zauq-e-tegh-e-naz hai na shauq-e-nawak-e-nazar na nala-e-hazin-rasa na aah-e-sard mein asar na ham-nashin na walwala ki lau kahin lagaen hum na hausla ki sakhtiyan firaq ki uthaen hum na saz-e-ishq gham-ruba na kaif-za hai jam-e-gham na iztirab-e-hijr hai na intizar-e-sham-e-gham na sarkhushi na aaqili na aashiqi na bandagi na naghma-e-tarab-fiza na gham-taraaz-e-zindagi masarraten na rahaten mohabbaten na lazzaten badhi hui kuduraten badhi hui adawaten na dard-mand ishq hain na chaara-saz-e-dard hain uthe to kya rahe to kya ki rahguzar ki gard hain na shorishen na kawishen na josh hai na walwala bujhi hui tabiaten bujha hua sa hausla agar yahi hai zindagi agar yahi shabab hai to main kahunga dosto ye mustaqil azab hai