faza mein muallaq ye shakhen hain ya jaden hain us budhe bargad ki jis pe zamin tang ho gai hai hamari tarah jis ko waqt ne be-waqt kiya hai zamin ek had tak panah-gah hoti hai aasman ki panah ki had koi nahin ye shakhen jo dusra rup hain jadon ka zamin se palat kar aasman ki kheti mein ugne ko be-tab hain aasman aur zamin ke darmiyan bandon ke azhdaham mein kaun hai? jo bargad ki aaghosh wa kiye meri rah dekhta hai