bulbul ai rang bhare gulab ke phul is shan is aab-o-tab ke phul dilchasp bahut hain rang tere hain mujh ko pasand dhang tere khilta hai jo tu is anjuman mein lagti hai ek aag si chaman mein kya ye asar hai pankhudi mein kaisi hai chatak kali kali mein kis ne tujhe is-qadar sajaya kis ne tujhe bagh mein khilaya kyon tujh mein hai dilkashi ziyaada kis mulk ka tu hai shah-zada gulab ai rang bhare tarane wali gulshan mein bahaar gane wali ai bagh ki la-jawab chidiya ai shefta-e-gulab chidiya jis ne tujhe chahchahe diye hain dilchasp ye zamzame diye hain us ne mujhe phul hai banaya ek ped ki shakh se ugaya sab phul hain mere aage sada us bagh ka hun main shahzada mujh sa nahin aur koi khush-bakht hai mere liye bihaar ka takht bulbul pyare mere ai gulab ke phul ai gulshan-e-la-jawab ke phul rangin khamosh sidhe sade ai mulk-e-chaman ke shahzade karti hai bahaar jab kinara ho jata hai zard bagh sara aata nahin kyun mujhe nazar tu jata hai chhupa chhupa kidhar tu murjhati hain teri sari kaliyan rahti nahin phir ye rang-raliyan ud jati hai bu hina ki manind hota hai fana hawa ki manind gulab ai mutriba-e-bahaar bulbul ai aashiq-e-be-qarar bulbul hota hun main khak hi se paida aakhir ko hun khak hi mein milta gham-khwar bhi gham-gusar bhi hai man bhi hai yahi mazar bhi hai duniya mein hain jitne phul kaliyan hai sab mein baqa fana numayan murjha ke har ek phul patta hota hai phir is zamin se paida har phul mein hai khuda ki qudrat har khar mein hai usi ki hikmat