kyon sham ka aanchal maila hai har samt dhuan sa phaila hai madum hue aasar sabhi kaliyon ki chanchal aankhen jhuki jhuki si munde palken gul-badan sar nigun ho gae khushbu bhi udi aur gesu-e-shab mein ja uljhi mahtab bhi ubhra chupke se dhundla dhundla phika phika maghmum shuaen phiki si har samt tha us ka aks-e-hazin ujda ujda viran viran lamhon ki zabanen gung huin uqde ki kadiyan khulti gain jab tez thi aandhi dur kahin udti thi qaba-e-jism wahin bechain hui phir ruh bahut kuchh be-awaz si chikhen thin tahlil hawa mein hoti thin kuchh abr ke tukde aawara jaise khushiyon ka pushtara thak kar bikhra de koi unhen purwai ka jhonka halka sa phir dur uda le jae unhen ab sham ki is tanhai mein yun baithe hain chup-chap sabhi kab hogi sahar malum nahin lekin manzar in subhon ka nazron mein saja kar baithe hain har sans giran har aas guman har raaz nihan chup-chap zaban namnak si aankhon par bojhal palkon ko jhukae baithe hain