kash main tere bun-e-gosh mein bunda hota raat ko be-khabari mein jo machal jata main to tere kan se chup-chap nikal jata main subh ko girte teri zulfon se jab basi phul mere kho jaane pe hota tera dil kitna malul tu mujhe dhundhti kis shauq se ghabrahat mein apne mahke hue bistar ki har ek silwat mein junhi kartin teri narm ungliyan mahsus mujhe milta is gosh ka phir gosha-e-manus mujhe kan se tu mujhe hargiz na utara karti tu kabhi meri judai na gawara karti yun teri qurbat-e-rangin ke nashe mein madhosh umr bhar rahta meri jaan main tera halqa-ba-gosh kash main tere bun-e-gosh mein bunda hota