jismon ke kho jaane aur ruon ke badalne ke karb ne mujhe tamam-umr andesha-e-ziyaa mein hi mubtala rakha kal ke din ne mujh mein base sab khauf mar diye chehre se naqab utra to sachchai sina tane mere samne aa khadi hui khud se bichhdi hui thi ab khud se aa mili hun mera saya mujh mein nau phata ho kar jag gaya hai aur wo mera hath thame baitha hai ab wahi mor-pankh wahi jhil wahi murghabi ke bachche akhrot khati gilahri aur rang bikherti titli mera saya yahi sab murda manazir ko mere andar hanut kar ke baith gaya hai ab apne hi sae ki panah mein hun jis ke na badalne ka dar na bichhadne ka wahm ek sa bas mujh mein hi rahega mera hi rahega is liye ab tanhai se dar nahin lagta ab judai se dar nahin lagta ab main apni panah mein hun