hum ne mahbub ke aiwan mein ja kar dekha chin mein misr mein iran mein ja kar dekha rus mein sham mein sudan mein ja kar dekha aur phir khana-e-sultan mein ja kar dekha nosh-o-khurdan hai nawishta tere diwane ka jab hui khushk to mahbub ki kakul ne kaha wo jo maike gain un se yahi babul ne kaha okhle walon se jamuna ke nae pul ne kaha aur sunte hain ki babbu se ye abdul ne kaha nosh-o-khurdan hai nawishta tere diwane ka rotiyan baith ke hotel mein pakata hai koi madrase mein koi padhta hai padhata hai koi apni dholak liye darbar mein gata hai koi aur dafli sar-e-bazar bajata hai koi nosh-o-khurdan hai nawishta tere diwane ka tujh ko fursat hi nahin apne jahan se mahbub tu nikalta hai kabhi apne makan se mahbub phir ye ilham hua tujh ko kahan se mahbub main ne akasr ye suna hai teri man se mahbub nosh-o-khurdan hai nawishta tere diwane ka faqa kar ke na budhape mein jawani dalo pet mein pahle mere kuchh to bhawani dalo phir gale mein mere ulfat ki nishani dalo ghee mere khane mein kuchh aur mamani dalo nosh-o-khurdan hai nawishta tere diwane ka khane pine se jo mohlat kabhi pa jata tha har moarrikh sar-e-tarikh pe farmata tha wo arastu ho ki buqraat bahut khata tha aur phir raat ko akasr yahi barraata tha nosh-o-khurdan hai nawishta tere diwane ka