gulshan-e-alam mein jab tashrif lati hai bahaar rang-o-bu ke husn kya kya kuchh dikhati hai bahaar subh ko la kar nasim dil-kusha har shakh par taza-tar kis kis tarah ke gul khilati hai bahaar naunihaalon ki dikha kar dam-ba-dam nashw-o-numa jism mein ruh-e-rawan kya kya badhati hai bahaar bulbulen chahkarti hain shakh-e-gul par ja-ba-ja bulbulen kya fil-haqiqat chahchahati hai bahaar hauz-o-fawwaron ko de kar aabru phir lutf se kya moattar farsh sabze ka bichhati hai bahaar jumbish-e-baad-e-saba se ho ke ham-dosh-e-nashat sath har sabze ke kya kya lahlahati hai bahaar khalq ko har lahza apne husn ki rangat dikha be-takalluf kya hi har dil mein samati hai bahaar majma-e-khuban hujum-e-ashiqan aur josh-e-gul dekh in rangon ko kya kya khilkhilati hai bahaar gul-rukhon ki dekh kar gul-baziyan har dam nazir gul idhar khandan udhar dhumen machati hai bahaar