main ne chhoda jo patakha to bura man gae khwab-e-ghaflat se jagaya to bura man gae hum ko bhi dadi ki is chiz pe haq hasil tha kha liya thoda sa halwa to bura man gae meri tauhin thi khatmal se makode se shikast nochna jo pada takiya to bura man gae ab bhi baqi hain wahi zulm-o-sitam teacher ke jo kaha lafz-e-ahinsa to bura man gae fail karta hi to aaya hun sabhi sal magar ab ki daddy ko sunaya to bura man gae main bhi sine mein to aakhir wahi dil rakhta hun raat picture se jo aaya to bura man gae ji mein aaya tha ki kuchh chhup ke kama lun shohrat ek hi sher churaya to bura man gae koi mujh sa na ho mahrum jahan mein 'adil' haal-e-dil jab bhi sunaya to bura man gae hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain kya hua main bhi jo achchha to bura man gae