ek-adh sal se hai faza mulk ki kuchh aur ghaalib sadi ke baad hai gandhi sadi ka daur gandhi ko kaun aisa hai jo jaanta na ho izzat ke sath un ko bada manta na ho bapu to un ko pyar se kahte hain aaj bhi har dil pe sach jo puchhiye hai un ka raj bhi dam se unhin ke daur-e-ghulami hua tamam aasani mein badal gaya dushwar tha jo kaam us rahbar-e-azim ne hum ko wo bal diye angrez mulk chhod ke khamosh chal diye sach aur us ke sath ahinsa ki dhum hai duniya ka ab samadhi pe un ki hujum hai har shakhs sar-nigun hai bade ehtiram se 'adil' ye qadr hoti hai be-laus kaam se