ye koi tariqa hai tanz yun nahin karte 'shad'-arfi-sahib aap jaise dil wale is tarah nahin marte 'shad'-arfi-sahib baghban ki sazish se phul tod kar gulchin khar mein piroenge nam le ke tufan ka nakhuda safinon ko ret mein diboenge aap ki tamanna thi jail ja ke marne ki bhul ho gai shayad lutti rahi paiham sath sal jo duniya yun na bakhshiye us ko man ki maut par apna jo makan becha tha yaad kijiye us ko 'shad'-arfi-sahib aap ko to duniya se intiqam lena hai sochiye zamane ne aap ko diya kya hai aap se liya kya hai fikr-o-fan ke badle mein talkhiyan ata ki hain jis samaj ne qibla pur-khulus sine par barchhiyan chalai hain jis samaj ne qibla aap ki khamoshi par wo samaj hansta hai dekh lijiye mud kar phir koi nai phabti tanz ka koi nashtar war kijiye mud kar buz-dili na hogi kya zindagi ke mujrim ko yun muaf kar dena maut ka to matlab hai zulm ke liye rahen aur saf kar dena khair hum samajhte hain maut se nahin darte 'shad'-arfi-sahib ye bhi tanz hi hoga mar ke bhi nahin marte 'shad'-arfi-sahib