ai gul-e-rangin-qaba ai ghaza-e-ru-e-bahaar tu hai khud apne jamal-e-husn ka aaina-dar hae wo tere tabassum ki ada waqt-e-sahar subh ke tare ne apni jaan tak kar di nisar sharm ke mare gulabi hai idhar ru-e-shafaq shabnam-agin hai idhar peshani-e-subh-e-bahaar yun nigar-e-mahr tere samne aaya to kya ladkhadata sar jhukae zard ru simab-war khamushi teri ada hai, sadgi fitrat mein hai phir bhi jo tera harif-e-husn hai, hairat mein hai ai gul-e-nazuk-ada, ai khanda-e-subh-e-chaman chumti hai tere honton ko nasim-e-mushk-e-tan gher len jaise urus-e-nau ko ham-sin ladkiyan yun tujhe ghere hue hain nau-nihaalan-e-chaman wadiyon mein tu, bayabanon mein tu, basti mein tu raunaq-e-har-mahfil o zinat-dah-e-har-anjuman ye ada-e-sadgi, mahbubiyat, masumiyat tu rah-e-hasti mein kis andaz se hai gamzan josh-e-sarmasti mein wo mauj-e-saba ki chhed-chhad wo tere aariz pe ek halke tabassum ki shikan tu zamin-e-rang-o-bu, tu aasman-e-rang-o-bu mukhtasar ye hai ki tu hai ek jahan-e-rang-o-bu