hujum-e-sang-e-ana aur zabt-e-paiham ne misal-e-reg-e-rawan be-qarar rakkha hai mere wajud ki wahshat ne raat bhar mujh ko ghubar-e-qafila-e-intizar rakkha hai ba-pesh-e-khidmat-e-chashm-e-sarab-aluda hawa ne dast-e-talab bar bar rakkha hai main teri yaad ke jadu mein tha sahar mujh ko na-jaane kaun si manzil pe la ke chhod gai ki sans sans mein tere badan ki khushbu hai qadam qadam pe teri aahaton ka dera hai magar nazar mein faqat shab-zada sawera hai tahi tahi se manazir hain gard gard faza mata-e-umr wahi ek khwab tera hai tere jamal ka partaw nahin magar phir bhi khayal aaina-khana sajae baitha hai jidhar bhi aankh uthata hun ek wahshat hai tu hi bata ki kahan tak fareb dun khud ko ki mera aks mere khauf ki shahadat hai mera wajud hai aur shahr-e-sang-baran hai bachaun jaan ki tamir-e-qasr-e-zat karun main apna hath baghal mein dabae sochta hun mere nasib mein suraj kahan jo baat karun main wadiyon ki masafat se kis liye niklun safar ek aur pahadon ke par rakkha hai