laraz raha tha watan jis khayal ke dar se wo aaj khun rulata hai dida-e-tar se sada ye aati hai phal phul aur patthar se zamin pe taj gira qaum-e-hind ke sar se habib qaum ka duniya se yun rawana hua zamin ulat gai kya munqalib zamana hua badhi hui thi nahusat zawal-e-paiham ki tere zuhur se taqdir qaum ki chamki nigah-e-yas thi hindustan pe aalam ki ajib shai thi magar raushni tere dam ki tujhi ko mulk mein raushan dimagh samjhe the tujhe gharib ke ghar ka charagh samjhe the watan ko tu ne sanwara kis aab-o-tab ke sath sahar ka nur badhe jaise aaftab ke sath chune rifah ke gul husn-e-intikhab ke sath shabab qaum ka chamka tere shabab ke sath jo aaj nashw-o-numa ka naya zamana hai ye inqalab teri umr ka fasana hai raha mizaj mein sauda-e-qaum khu ho kar watan ka ishq raha dil ki aarzu ho kar badan mein jaan rahi waqf-e-abru ho kar ragon mein josh-e-mohabbat rahe lahu ho ho kar khuda ke hukm se jab aab-o-gil bana tera kisi shahid ki mitti se dil bana tera watan ki jaan pe kya kya tabahiyan aain umand umand ke jihaalat ki badliyan aain charagh-e-amn bujhane ko aandhiyan aain dilon mein aag lagane ko bijliyan aain is intishaar mein jis nur ka sahaara tha ufuq pe qaum ke wo ek hi sitara tha hadis-e-qaum bani thi teri zaban ke liye zaban mili thi mohabbat ki dastan ke liye khuda ne tujh ko payambar kiya yahan ke liye ki tere hath mein naqus tha azan ke liye watan ki khak teri bargah-e-ala hai hamein yahi nai masjid naya shiwala hai gharib hind ne tanha nahin ye dagh saha watan se dur bhi tufan ranj-o-gham ka utha habib kya hain harifon ne ye zaban se kaha safir-e-qaum jigar-band-e-saltanat na raha payam shah ne diya rasm-e-taziyat ke liye ki tu sutun tha aiwan-e-saltanat ke liye dilon mein naqsh hain ab tak teri zaban ke sukhan hamari rah mein goya charagh hain raushan faqir the jo tere dar ke khadman-e-watan unhen nasib kahan hoga ab tera daman tere alam mein wo is tarah jaan khote hain ki jaise bap se chhut kar yatim rote hain ajal ke dam mein aana hai yun to aalam ko magar ye dil nahin tayyar tere matam ko pahad kahte hain duniya mein aise hi gham ko mita ke tujh ko ajal ne mita diya hum ko janaza hind ka dar se tere nikalta hai suhag qaum ka teri chita mein jalta hai rahega ranj zamane mein yaadgar tera wo kaun dil hai ki jis mein nahin mazar tera jo kal raqib tha hai aaj sogwar tera khuda ke samne hai mulk sharmsar tera pali hai qaum tere saya-e-karam ke tale hamein nasib thi jannat tere qadam ke tale