dhyan ki diwaron se gae dinon ki yaaden kaise utarun is calendar mein jitni taswiren hain sab mujh ko jaan se pyari hain is mein pahli taswir jo hai ye mera sahma sahma khauf-zada bachpan jis ke pas-manzar mein jiwan sauteli maon jaisi saffaki se mujh ko takta hai mahrumi mere gal masal kar roti ka tukda deti hai aur bhuk tahoka deti hai is mein duji taswir jo hai ye sabz ladakpan ki dahliz pe nange panw phate libaade khwabon ki ujli pariyon ki sangat mein ek bachchi daudi jati hai ek khwahish udti jati hai rangin ghubaron ki surat jo hathon se chhut jate hain us mein agli taswir jo hai ye bhor samay ki duri par ek basti ki jis basti mein ek aangan hai jis aangan mein ek phul sada se khila hua ek aag musalsal raushan hai wo aag ki jis ko hijr ki andhi raaten bhi kajla na sakin wo phul ki jis ko dukh ki garm hawaen bhi kumhla na sakin in taswiron mein zinda hai in taswiron mein raushan hai