apni masiha ke nam

ye karb-e-takhliq kaun jaane
siwae tere siwae mere

tu bint-e-maryam main bint-e-hawwa
meri masiha

ajib rishta hai mera tera
wo lamha-e-karb

jab mujhe apne jaan-o-tan ki khabar nahin thi
har ek chehra tha dhundla dhundla

tamam shaklen miti miti si
faqat teri shakl aaina thi

teri sada thi
jo mere tar-e-nafas ko chhu kar

lahu ki gardish badha rahi thi
teri sada is ghunuda dhadkan mein

dubti aur ubharti sanson ke darmiyan
zindagi se labrez jam-e-shirin

teri sada mein wo hausla tha wo sarkhushi thi
ki aakhiri bar

mere mathe pe sard qatre jo jhilmilae
hayat aur maut ki kashmakash ke mabain main ne dekha

teri nigahon mein jaise mahtab jagmagae
ki tera chehra ek aisi pakiza raushni se dhula hua tha

ki jaise injil khulti jae
wahi tulua-e-hayat ka khush-gawar manzar

ki tera malbus zindagi ke hazar rangon se bhar chuka tha
ki tere hathon ke nur-pyalon mein

mera suraj damak raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close