tutti tut kar reza-reza simatti hui saaton ki tarah koi satah sada nahin ek waqfe ka daman bhi dhabbon se khali nahin ye nazar ka nahin asl mein ek tazad-e-nazar ka karishma hai warna ye auraq-e-mahtab bhi jitne lagte hain ujle nahin munh khuli aur ludhakti hui raat se lamha-lamha ubalti hui raushnai ziyaada siyah hai wahi koele jab shuruat taqrib ke dhime-dhime sulagte alaw mein jalne lagen us ghadi aur jab bich ke marhala mein dahakne lagen us ghadi aur jab khatm-e-taqrib ki rakh mein aankh malne lagen us ghadi bhi safedi ka khalis tasawwur nahin apni marzi ki be-dagh taswir ke waste canwas koi sada nahin