zindagi mahw-e-safar hai nae andaz ke sath hain lab-e-shauq pe manzil ke tarane raqsan ham-safiron ke qadam itne ham-ahang nahin phir bhi in qadmon ki aahat jo bahut tez hai aaj dur tak gunj rahi hai usi paigham ke sath log sunte hi jise khwab se jag utthe hain qarn-ha-qarn ki pasti se nikal aae hain aaj bhi hum usi paigham ke aaine mein haal-o-ainda ke jalwon ki jhalak pate hain aaj bhi hum usi paigham ki kirnen le kar jagmagati hui manzil ki taraf jate hain