hum unhen palte hain apne bachchon ki tarah apna khun pila kar apne hisse ka rizq khila kar unhen sair karaate hain mele thele aur bazaron ki apni ungli thama kar kabhi unhen zarq-barq libas pahna kar chhod dete hain ghane jangal mein be-tahasha raqs karne ke liye kabhi kahte hain nadi ke kinare phislan bhari dhalan par daud kar titliyan pakadne ko aur qahqahe lagate hain un ke gir jaane par kabhi unhen kahte hain chand ki banjar zamin par gulab ki kasht karne ke liye aur phir sogwar hone ka dhong karte hain un ki mahrumiyon par aur jab ukta jate hain is khel se barf ke safed kafan mein lapet kar raat ke haibatnak andhiyare ki qabr mein sula dete hain apni khwahishon ko hamesha ke liye aur latife sunane lagte hain doston ko