ek musafir apni dhun mein tha rawan us ko in donon ne taka na-gahan ho gae aapas mein tai qaul-o-qarar jo labaada le musafir ka utar bas usi ke nam ka danka baje sar pe dastar-e-fazilat wo saje phir to aandhi ban ke chal nikli hawa aisi biphri kar diya tufan bapa unche unche ped tharrane lage jhok se jhokon ki charrane lage naunihaalon ki kamar bal kha gai phul patton par qayamat aa gai kanp uthe us dasht ke kul wahsh o tair mangte the apne apne dam ki khair ho gaya daman-e-sahra gard-bard ghir gaya aafat mein wo sahra-naward chahti thi lun libaade ko uchak muddai ko dun sar-e-maidan zak jab hawa leti thi chakkar mein lapet baith jata tha wo daman ko samet sina-zori se na chori se dari kar saki lekin na kuchh ghaarat-gari bandh li kas kar musafir ne kamar ta hawa ka ho na kapdon mein guzar thak gai aakhir na us ka bas chala tal gai sar se musafir ke bala ab thama jhakkad to nikla aaftab ru-e-nurani se sarkai naqab tamkanat chehre se us ke aashkar chaal mein ek burd-bari aur waqar wo hawa ki si na thi yan dhum-dham kar raha tha chupke chupke apna kaam dhimi dhimi kirnen chamkane laga rafta rafta sab ko garmane laga us musafir ko pasina aa gaya khol dale band ji ghabra gaya aur aage ko badha to dhup se tan-badan mein kuchh patange se lage ab libaade ko liya kandhe pe dal badli yun naubat ba naubat chaal-dhaal jab chadha khurshid samt-u-rras par baith kar sae mein phir to ghas par dur phenka us libaade ko utar wah-re suraj liya maidan mar tezi-o-tundi ke girwida hain sab kaamyabi ka magar hai aur dhab us ka gur hai narmi o aahistagi sar-kashi ki rag usi se hai dabi