1 wo azal se apne azim chaak pe mumkinat ke inkishaf mein mahw hai falak-o-zamin mah-o-aftab-o-nujum kohna karishme us ke kamal ke abhi is ki jiddat-e-be-panah ko tarah-e-nau ki talash hai abhi arsh-o-farsh ke na-shunida shamail us ki nazar mein hain abhi mawara-e-khayal-o-fikr-e-masail us ki nazar mein hain kurra-e-zamin ko ye fakhr hai ki ye khak khaliq-e-khaliqan ko aziz hai yahin sans leti hayat jalwa-numa hui isi arz-e-khak ko armughan-e-numu mila yahan zindagi ke wo rang hain wo tariq hain ki na un ka koi shumar hai na hisab hai inhi paikaron mein hai ja-ba-ja wo tilism-e-aks-e-jamal bhi jise dekh lene se chashm-o-dil hama-hairat-o-hama-be-khudi kahin konpalon ko nikhaarta hai wo lazzat-e-nam-e-shakh se kahin mu-qalam se sanwarta hai gulon mein rang nae nae kabhi bakhsha hai dilon ko dard ki jaan-gudaz latafaten koi rang ho koi rup ho koi shakl koi mizaj ho sabhi us ke chaak se aae hain 2 ye sari baaten sach hi sahi ye sare guman durust sahi par ye to kaho qadmon tale raunde patton ki aawaz suni hai tum ne kabhi murjhae hue phulon se kabhi biti hui rut ki baat hui kabhi khauf-zada nakhchiron ki aankhon mein jhank ke dekha hai kabhi dukhte dilon ki us dhadkan us dahshat mein bhi sharik hue jo hote hue bhi na hone ke ehsas se paida hoti hai phati purani shaklon wale ye apahij ye mazur zaif ye tute phute khilaune bhi usi chaak se aae hain ki nahin kal jin ki hayat thi barq-asa paiwand-e-khas-o-khashak hue jinhen dekh ke aankhen raushan thin pinhan pas-e-parda-e-khak hue wo naqsh-gar-e-kaamil hai to phir jo naqsh-e-jamil banata hai jo dard dilon mein jagata hai use ghaarat kyun kar deta hai fankar-e-azal ko kya apne kisi naqsh pe itminan nahin 3 aadmi-zade kisi rang kisi naqsh ka paband na ho zist thahra hua jouhad nahin mawwaj-o-rawan dariya hai tu hai ek thahre hue pal mein talabgar-e-dawam ye dawam asl mein hai be-hisi-e-marg ka nam aadmi-zade tere rishte hain baadal ki tarah ghir ke aate hain baraste hain guzar jate hain yun bhi hota hai ki kuchh der thahar jate hain yun bhi hota hai ki bin barse bikhar jate hain tu kisi rishte kisi abr ka paband na ho tu ki hai tute khilaune ke liye girya-kunan dekh ye khak ke paikar to faqat shakl badal lete hain inhi tute hue bekar khilaunon ki ye mitti phir se zist ke chalte hue chaak ke kaam aati hai phir nae rup mein dhal jati hai jaane walon ke liye mitte rangon ke liye tute khilaunon ke liye tera har nauha baja hai lekin aane walon ka banaw bhi to dekh taza konpal ki nazakat mein tanaw bhi to dekh ki wo fankar-e-azal aaj bhi apne usi chaak pe hai