buland pedon ke sabz patton mein sath-e-dariya ki silwaton par hawa ke jhonkon se dhup ke jhilmilate tare thirak rahe hain khunuk hawa jaise kanch ki tez kirchen rag rag ko chirti hain khunuk hawa jaise talkh mai kaenat ke jism mein rawan hai ye kashtiyan barf se dhaki nili chotiyon par nazar jamae hawa se takraati sard pani ko katti badhti ja rahi hain ye qahqahe shokh shokh baaten ye hanste chehron ka ek jhurmut nazar nazar mein gudaz kirnon ki aanch mahsus ho rahi hai kisi kinare ke tera sayon mein bhul aae hain bar-e-gham ko wo barf ki chotiyan nigahon ke daeron mein bhar rahi hain kahin bahut dur chhod aae hain aaj behis imaraton ko jo apne sine mein tirgi ka dhuan dabae sisak rahi thin sulagti chingariyan jahan badhti rakh mein dab ke so gai thin jahan fasurda ghubar mein zindagi to kya maut bhi nahin thi kahin unhi chotiyon se ab wo imaraten phir ubhar na aaen