purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai ajab wo waqt tha chaaron taraf jismon ki daldal thi barahna mard wazn retile sahil par pade ek dusre ko chumte rahe kisi lab par na thi hamd-o-sana aur ungliyan tasbih ke danon ko sai-e-raegan gintin khuda barham hua us ne samundar ki tahon mein aag raushan ki samundar khaul kar lawa bana aur sahilon ko kat kar nikla har ek jaanib samundar hi samundar tha koi aadam na aadam-zad baqi tha bas ek kashti thi sath-e-ab par jis ko koi sahil na milta tha wo din chaaliswan tha jab khuda ne mehrbani ki samundar ko sameta sahilon ki ret chamkai wo pahli subh thi jab sab ke honton par khuda ki hamd thi tasbih ke dane chamakte the