sahar hote kiya hai jab bhi aaghaz safar main ne to har ek mod par har rah par har ek basti mein yahi puchha hai mujh se kaun hun kya nam hai mera meri manzil kahan hai kaun sa shahr-e-tamanna hai ki jis ki did ka arman hai jis ka sar mein sauda hai sawalon ko mere shauq-e-safar ki aagahi dene nazar uthti khala ki wusaton mein dub kar kahti ufuq ke par suraj ke sunahri baam se aage zamin-o-asman ki sarhaden jis ja pe milti hain mera shahr-e-tamanna hai wahin tak mujh ko jaana hai ye duniya mujh ko diwana samajh kar mujh pe hansti hai