giri hai barq-e-tapan dil pe ye khabar sun kar chadha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par utha hai nala-e-pur-dard se naya mahshar jigar pe madar-e-bhaarat ke chal gae khanjar shikasta-haal hua qaum ke habibon ka badan mein khushk lahu ho gaya gharibon ka abhi to qaum ne 'nehru' ka gham uthaya tha abhi to das ki furqat ne hashr dhaya tha abhi to hijr ka bismil ke zakhm khaya tha abhi to koh-e-sitam charkh ne giraya tha chale hain nawak-e-bedad phir kalejon par ki aaj uth gae afsos naujawan rahbar adu watan ko tashaddud se kya dabaenge wo apne hath se fitne nae jagaenge jo mulk-o-qaum ki dewi pe sar chadhaenge nisar ho ke shahidon mein nam paenge girega qatra-e-khun bhi jahan saputon ka fida-e-hind wahan honge sainkadon paida jahan se mulk-e-adam naunihaal jate hain numayan kar ke sitam-kash ka haal jate hain gira ke hind mein koh-e-malal jate hain watan ko chhod ke bhaarat ke lal jate hain tadap rahe hain judai mein be-qarar-e-watan chale hain aalam-e-baala ko jaan-nisar-e-watan