raat plate mein dukh rakkha tha subh ke cup mein be-zari thi sham chae ke sath pada tha dil ki surat wala barfi ka ek tukda aaj mere kamre mein phir se hijr ki table par dil ka piyala yun ashkon se bhara hua tha andar se kuchh tut gaya tha aur ek jag yaadon se bhara meri jaanib dekh raha tha ek gilas thakan ka khali jaise dar se koi sawali bin pae hi laut gaya tha nind ke takiye par sar rakkha mere sirhane kitab tumhaari mera jiwan dam sadhe chup-chap pada tha main ne junhi hath badhaya lafzon se ek chehra ubhra raat bahut hi bit chuki hai ab so jao