koyal mere shabdon ko tu chhape-khane le ja wo akhbar to padhte honge padh ke khabar mere marne ki daude daude ghar aaenge dakiye tu chitthi ke bajae aam meri bagiya ke ab ki un ke daftar le ja sab se chhupa ke aam wo mere hathon mein bhar lenge phir kurte ke niche, pichhe, sine ke jangal mein un ko dubka lenge sukhi hawao! ab ki jab tum un ke suhane ghar se guzro tesu ke kuchh phul mahakte un ki khidki pe rakh aana raat gae jab aankh mein un ki mere badan ke phul jalenge thande badan pe aag malenge jaldi jaldi khidki tak pahunchenge un pe jalte honton ka ek chumban! chait mahine wala chumban mahka denge!!