jo chahte ho ki tum ba-waqar ban ke raho to zindagi mein kifayat shiar ban ke raho diya hai rab ne to be-shak tum us ko kharch karo magar ba-qadr-e-zarurat ho be-hisab na ho har ek shai ko baratne ka ek tariqa hai is tarah se kifayat bhi ek saliqa hai wo chahe tel ho bijli ho ya ki pani ho na koi chiz ho zaea samajh ke sarf karo jo shah kharch the duniya mein wo zalil hue jo jaante the kifayat wo khud-kafil hue bura na manna bachcho meri nasihat ka tumhin ko bojh uthana hai mulk-o-millat ka