chal nahin sakti

siyasat mein kabhi firqa-parasti chal nahin sakti
hua surakh pende mein to kashti chal nahin sakti

hamare bich hain ab dushman-e-insaniyat itne
zamin par ab falak ki chira-dasti chal nahin sakti

pareshani bad-amni aur mahngai ki haalat mein
hukumat chal to sakti hai grihasti chal nahin sakti

badhaun dam apne kyon na main aisi girani mein
chalan jab hai ki koi chiz sasti chal nahin sakti

kaha neta ne bhuk-hadtal kar ke dusre hi din
ab is se aage meri faqa-masti chal nahin sakti

nasha ab kya chadhe saqi ne jab ye kah diya munh par
yahan had se ziyaada baada-masti chal nahin sakti

ye sun lo 'khwah-makhwah' jab sath se ho jaoge upar
mohabbat chal bhi jae tandurusti chal nahin sakti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close