shayad ek sath sikhta hai aadmi chalna aur sochna ek sahn mein ek din main sikh gaya chalna aur sochna chidiyon paudon aur rang birange kidon ke darmiyan man kahti tum itna chalte ho ek sidh mein chalo to sham tak pahunch jao kisi aur shahr mein main ne aawargi ki dopahron mein akele taron bhari raaton mein udas shairon aur jugnuon ke sath main chalta raha galiyon mein shah-rahon par juluson mein janazon ke sath sochte hue na-insafi inqilab maut khuda aur jahannum aur bahut si fuzuliyat main chalta raha barishon mein barf-bariyon mein dhund mein dhup aur aandhiyon mein sochte hue jo main bata sakta hun fakhr se aur wo bhi jo main khud se bhi chhupata hun main ajnabi mulkon mein gaya tanha chalne ke liye tanha sochne ke liye ab main laut aaya hun dhalti umr mein baghair kahin pahunche hue ab main kahin nahin jata par ab bhi chalta hun har roz kam-az-kam ek ghanta tez tez paon chakki par ye sochte hue ki main kab tak chalunga main kab tak sochunga