baghon mein jab ashjar pe gate hain parinde mausam ka koi jashn manate hain parinde kohsar pe jab chalti hain yakh-basta hawaen mil kar su-e-maidan utar aate hain parinde ud jate hain phir wadi-e-kohsar ki jaanib maidan mein kadi dhup jo pate hain parinde chunte hain makan phuns ke be-khanuman kuchh log ya ghonsle tinkon ke banate hain parinde pahunchate hain nuqsan jo kheton ko janawar kidon se bhi faslon ko bachate hain parinde bachchon ke madaris mein taranon ka hai aalam ya waqt-e-sahar shor machate hain parinde saf bandh ke udte hain to insan ko ai 'zeb' tanzim ke aadab sikhate hain parinde