kisi ki jeb se naqadi kisi ke kan ki baali kisi ki chudiyan hathon se mahnga koi mobile jhalak t-t ki dikhla kar jo mala tut kar bikhre to moti bin lete the gharibon ki bhi kul-punji abhi kal tak yahan hum chhin lete the magar ab log bhi apne bahut hushiyar bante hain shikasta hi sahi phir bhi hamari rah ki diwar bante hain na kanon mein koi baali pahanta hai na hathon mein kade sone ke hote hain dulhan ke jo bhi zewar hain wo masnui jo mobile hain wo naqli numaish ke sabhi taur-o-tariqe khokhle hain kuchh nahin asli to phir bazar ja kar kya karen jeben to hain khali chalo kuchh aisa karte hain kisi ke hath se thaila dawaon ka lapak kar chhin lete hain dawaen bhi to mahngi hain kahin par bech dete hain kahin par bech dete hain ya phir ghar ko palatte hain abhi kuchh roz pahle hi jo hum ne baaliyan kanon se nochi thin wo main ne tohfatan bakhshin thin biwi ko kade sone ke amman ko to phir kuchh aisa karte hain kade amman se ja kar chhin late hain wahi do baaliyan sone ki jo bakhshin thin biwi ko unhen phir noch late hain chalo bazar chalte hain